Alag si Larki


Ajab si Larki

Bachpan ke din the , sara apni czn k saath matti k gharoonde banane bethi thi , waha per aur b boht saare mohalle k bache the , sb apni mastyun me madhu se the. Sara ki czn ne b ek gharonda banaya wo bhht sunder sa dikh raha tha , achanak ek larka aaya aur usne wo matti ka bna hua ghroonda torr daala , sara ki czn rone lagi ku k uska gharooonda kissi ne torr daala tha , sara se ye sb dekha nahe gaya aur wo uss larke se badla leene us k peeche bhagne lagi , kch e dair baad usne usse pakar lya aur usee de ek thappar maara aur boli ” tu kya samajta tha k tm hamare ghar torr doge aur hum iase e khare khare tammasha dekhte rahenge……haan? “. kya awa thi uski aur kya labolehja tha sara ka…
wo larka rota rota apne ghr gaya aur apni ammi se ja k bola k mje fulaan larki(sara) ne maara hai , phir to jaise bichari sara k peeche koi shaaamat aan pari ho . sara apni nani ki bari laadli thi , so ja k un k pass beth gae , usse pta tha k nano mje kbi b daant parne nahe dengi aur aisa e hua…Uska bachpan yun hi sharatoon se bhara guzra , wo thi to ek larki per larkon ki tarha jiya krti thi , sb ko moo per jawab dena, larkon ki tarha jhagarna , roab, dabadaba wagera wagera , usse pta tha k khud ka defence kaise kya jaata hai. Wo jaise raani thi poore mohalle ki…
Per usse shayd ye nahe pta tha k aane waala waqt us k lye kittni duhwaaryan le k aaega. Apne bachpan k din usne khoob enjoy kye jaise krna chahye… Waqt guzrta gaya aur uski educatuion college tk ja k pohche , wo hamesha awal aana chahti thi , sb se numaayan sb se different. college me apni miss’s ki b laadli ban gae thi , ku k us me kch khas tha shayd…
Ek dafa aisa ahua k sara apne college se  boys college gae hui thi kissi kaam se ,aur achanak uski nazar us larke per pari jisko sara ne bachpan me thappar maari thi , phir to sara jaise achanak tham si gae , aur jaldi e wahan se apne college challi aae per ye baat usse kbi b bhooli nahe thi….
Jald e usne apna college poora kiya , aur usne apne aap ek waada lya k mje kch kr k dikhana hai , ku k us k abu uski kissi b baat ko nahe taalte the , so usne faisla lya k wo uni jaae aur apni Bachelrs degree le , Usse computer me bara hi craze tha so usne IT me admission le lya..
Sara university k mahool me rehte hoi b bilkul nahe badli thi , usse pta tha k uni me kaise rehna chahye , so wo doosri larkuin se bilkul allag thi , waise to wo ek free mahool me thi per usne apne ko mehdood e rakha hua tha , kam logon se milna , apne kaam se kaam , class k waq class aur phir class khatam hote e seedhe ghr , ku k wo apne parents k bharose ko kabhi torna nahc chahti thi…
Ek martabaa usne apne class k CR ko kaha k “aap logon ne mje apna class mat kbi smja e nahe , me kaise survive kr rae hoon kissi ko koi pta nahe ,  me class me ek mehmaan ki tarha aati hoon aur phir challi jati hoon , koi mjse baat tak b nahe krta :(“.  Iska b shayd ek reason tha wo ye k usne apne aap ko aisa rakha hue tha k koi usk kareeb tk b na aae , aur ussi darr k maare us k class wale b us se kam baat krte the…
Usse shayd aisa enviroment nahe milla tha jaisa wo soch kr aae thi , per ussne dhaaan li thi k chahe haalat jaise b hoon usse apna maqsd her soorat me poora krna hai.
Wo apni class me hamesha awal e rehti thi .Us k abu ko us per bara naaz tha aur sara b bht khush thi ku k usk abu ko usper 101% bharosa tha aur usne wo bharosa kabi nahe toorne dya.
Phir kch yun hua k us k Abu ki achanak death hogae aur us ek pal ne waqt ko aisa badal daala kissi ne socha b nahe tha …
Haalat aise ullat hogae k usko apni education b poore krne nahe di ja rahi thi ,us ne laakh koshishon k baad ja k apne ghr waloon ko iss baat per manaya k o apni parhai kissi b soorat  me nahe choregi …
Wo sb se alag thi , hostel se class aur phir jaise e class khatam hojaae to seedha hostel , goya wo apne class mat ko apne saath e nahe paati ,
Uski apni teachers se bari lagti thi , uinversity me  aksar waqt wo apni  female assatiza k sath e rehti thi , aur usne universty k mahool me rehte hoe b kbi kissi ko apne kareeb nahe aane dya ku k wo apne parents ka bharosa kissi b soorat per khona nahe chahti thi…
Waqt guzra aur wo din b aaya jis din usne apni friends se rote rote alvida kaha , Goya poora  mahool ek sogawari ki soorat lye betha ho jaise…..
Inhi dino wo apne parents k saath nae shehr shift ho gaen thi , uski life ne jaise ajeeb morr le lye ho jaise , ek to us k abu ki death ooper se naya ghar …sb kch jaise ajeeb sa ho jaise, naya ghr nae log nae chehre aue sara wohi pehle jaise khamosh ……
chuna che us ki mangni kitayaryan b start then , per hairat ki baat ye thi k usne apne parents se kbi nahe poocha tha k larka kon hai kya krta hai wagera wagera, bs usse iss bat ka yaqeen tha k us k parents ne jo koi b chunna hoga wo achaa e hoga.
usne apni her khusshi hansi hansi apne ghrwaloon per qurbaan kr di..
Wo hamesha ye alfaz  gun gunaaya krti thi
“Gar jo goar karo tum to
k hai zindagi ek nam e talaash
jo milla chahtoon se
usse kho dya anna me”

To be Continued………

5 thoughts on “Alag si Larki

  1. kYA KAHANI HAI YAAR , AP NE TO BILKUL NOVEL LIKHNE KI KOSHISH KI HAI MEERPANHYAR…..

    AAP KI KOSHISH BOHT ACHI THI , WAISE YE KAHANI HI KIS KI, AAP KY US K BAARE ME KCH BATA SKTE HEN…….

  2. nice , aage kya hua bhai , wo b btaen na plzzz , ab kai
    si hai sara ??? hope k aap jald e agli post share krenge….

    thanks

Leave a comment